Urdu Forum- Pakistan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Ahadith

3 posters

Go down

Ahadith Empty Ahadith

Post by Baloch Tue Dec 30, 2008 7:46 pm

Hazrat Muhammad ( S.A.W.) Ne Fermaya :

Jub Tumhari Naikion Se Tumhein Khushi Ho, Aur Tumhari Buraayan Tum Ko
Naagawar Hoon Tu Samjh Lo L Tum Momin Ho.

------------------

6/92 Hadis Sharif Ka Mafhom Hai

"Jo Koi Jumme K Din 100 Bar Drood-e-Pak
Parhta Hai, Allah Karim Us Ki 100 Hajate Puri Karta Hai,
30 Duniya Ki Aur,
70 Akhirat Ki "


-------------------------

Irshad-e-Nabwi (S.A.W.)

"Jub Mulk May Tabahi HO Aur Logon K Jan O Maal Mehfuz Na Hoon Tu Kasrat Se Astaghfar PArho".


------------------------

Hadees Nabwi Sallal Laho Alehe Wa'alehi Wasallam:

"Dus K Siva KOi Cheez Taqdeer K Faisly KO Rad Nahi Kar Sakti. Neki K Siva KOi Cheez Umar KO Nahi Barha Sakti"


----------------------


Hazrat Muhammad (S.A.W.) Ne Farmaya:

" Jub Tumhari Naikion Se TUmhein Khushi Ho, Aur Tumhari Burrayan Tumko Nagawar Ho Tu Samjh Lo K Tum Momin Ho."


----------------------

Mafhom-e-Hadees,

Jo Mard Jamat K Sath Namaz Nahi Parhte Mera Dil Karta Hai Unko Unke Gharon K Under Aag Laga Doon Magar Mujhe Un K Ghar Walon Ka Khayal Aajta Hai .


----------------

Jub Tum Ne Apne Bister Pe Pehlo Rakha Aur SURAH FATEHA Aur SURAH IKHLAS Ko Parh Lia Tu MOut K Ilawa har Chiz Se BE Khauf Ho Gaya.!!


--------------------

Pyare AAQA SAW Ne Farmaya:

Sub Se Ziada Fazeelat Wala Amal 'La Ilaha Illallah'

Aur

Behtareen Dua 'Istighfar' Hai.

-----------------------------


Rasool Allaah (sallallahu 'alaihi wasallam) Ne Farmaya:

Meri Ummat Ko Muaaf Kia Jayay Ga, Siwayay Gunahon Ko Khullam-khulla Karne Walon Ko,
Aur Gunahon Ko Khullam-khulla Karnay Mein Ye Bhi Shamil Hai K Aik Shakhs Raat Ko Koi (gunah ka) Kaam Karay Aur Iss K Bawajood K Allah Ne Uss K Gunah Ko Chupa Dia Hai Magar Subh Honay Per Wo Kehnay Lagay K,
Aay Falaan! Maine Kal Raat Falaan Falaan Bura Kaam Kia Tha, Raat Guzar Gae Thi Aur Uss K Rab Ne Uss Ka Gunah Chupayay Rakha, Laikin Jab Subh Hue To Wo Khud Allah K Parday Ko Khoolnay Laga.


[Sahih Bukhari, Hadith#6069]

-----------------------


Nabi-e-Pak (S.A.W) Ka Farman Hai :

Logon Per Aik Zamana Aesa Ayega k ,
Unka Maqsad Unka Pait Hoga,
Doulay Un Ki Izzat Hogi,
Aur at Unka Qibla Hoga,

Aur,

Paisa Unka Deen Hoga,

Aur Woh

Baad-Tareen Log Honge,

Aur,

Aakhirat Mein Unka KOi Hissa Nahi Hoga.


-----------------------------




Muhammad (S.A.W.) Ne Farmaya:

Muslmano TUm Main Say Koi Shaks APni Peshani Se Us Mitti Ko Saaf Na KAre Jo Namaz Mein Sajde Say Lagi Ho,Q K Jub Tuk Namazi Kay Sajady Ka Nishan Us K Chehre Ya Pyshani Per Ho, Farishtae Us K Liye Dua-e-Maghfirat Mangte Rehtay Hain
Baloch
Baloch
Super Moderators
Super Moderators

Male Number of posts : 261
Age : 40
Location : Khairpur
Registration date : 16.11.2008

Back to top Go down

Ahadith Empty Re: Ahadith

Post by tanbukhari Tue Dec 30, 2008 8:36 pm

Baloch Bhai Bohat Zabardast Tahreer hai apki laikin aap in sab hadisoon ko alag alag post karain to parhnay mai asani hogi.
tanbukhari
tanbukhari
Co-Admin
Co-Admin

Male Number of posts : 834
Age : 35
Location : Lahore
Registration date : 09.09.2008

http://urdu-pak.co.cc

Back to top Go down

Ahadith Empty Re: Ahadith

Post by Baloch Tue Dec 30, 2008 8:43 pm

OK My dear
Baloch
Baloch
Super Moderators
Super Moderators

Male Number of posts : 261
Age : 40
Location : Khairpur
Registration date : 16.11.2008

Back to top Go down

Ahadith Empty Re: Ahadith

Post by Gulzar Thu Jan 01, 2009 4:22 pm

tan bro sahi keh rahe hain.............yeh request main ne pehly bhi baloch bhai ko k thy jab us ne ek sath kuch poetry post k thy.
well nice post.
avatar
Gulzar
Super Moderators
Super Moderators

Male Number of posts : 728
Age : 40
Location : Pakistan
Registration date : 11.09.2008

Back to top Go down

Ahadith Empty Re: Ahadith

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum