Urdu Forum- Pakistan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Collection````only````on````janaza

2 posters

Go down

Collection````only````on````janaza Empty Collection````only````on````janaza

Post by Gulzar Wed Oct 22, 2008 4:43 pm

mera har shair tere jazbaat se acccha hoga
mera har din teri har raat se accha hoga
tu dekhna in bewafa aankhoon se
mera janaza teri baraaat se accha hoga

----------------------------------------------
`
tum to kehti the main ayungi her gali har darwaze ke peeche
phir kyo nahi aaye mere janaze ke peeche
ha main kehti thi main aayungi har gali har darwaze ke peeche
per tum hi ne mur kar nahi dekha ek aur janaza tha tere janaze ke peeche

--------------------------------
MERE CHEHRE PE KAFAN NA DALO
MUJE AADAT HAI MUSKURANE KI


MERA JANAZAH ABHI NA UTHAO
MUJE UMEED HAI KISI KE AANE KI

---------------------------------------------------------

Aae Bewafa Tune Diya Hai Mujhey Mohabbat Mai Dhoka
Mera Piyaar Teray Piyaar Se Bahut Acha Hoga....
Yakeen Na Aayee Tujhey To Mera Kafan Utha Ker Dekhna
Mera Janaza Terii Baraat Se Achaa

-------------------------------------------------------

Janaza mera uth raha tha,
Phir bhi takleef thi unko aane mein,
Bewafa ghar mein baithe puch rahe the,
aur kitni der hai lejane mein

------------------------------------------------------

duniya k ae musafir
manzil teri qabar hai
tey kur raha hai jo
do pal ka yeh safar hai
manzil teri qabar hai

-----------------------------------------------

mehlon main soney waley
mitti man sorahey hain
do guz zameen ka tukra
chota sa tera ghur hai
manzil teri qabar hai

----------------------------------------------

ankhon se tune apne dekhe kai janazey
hathon se apne tune dufnae kitney murdey
anjaam se apne q to
itna be khabar hai
manzil teri qabar hai

----------------------------------------

Aaj Hi Dil Ne Jhana Hai, Kabar Bhi Aik Thikana Hai
Yeh Duniya Bhi Aik Chakar Hai, Mout Bhi Bass Aik Bahana Hai

-----------------------------------------

Unhe to fursat nahi milne ki humse,
aur hamara waqt gujarta hai unki fariyaad karke.
Agar aaye wo meri maut pe,
to kah dena abhi soye hain tumhe yaad karke

----------------------------------------------


Maut ke baad yaad aaraha hai koi
mitti merii qabar se uttha raha hai koi
aye Khuda do pal ki zindagee or dede
Merii qabar se udass jaaraha hai koi

----------------------

KOI MANAY YA NA MANAY..HUM TOO HAIN MOAT KAY DEWANAY..
MOAT HUM KO CHAHTI HAI HAI..
HUM MOAT KO CHAHTAY HAIN..
PHIR ZINDAGI SAATH SAATH KION HAi

-----------------------------

Meri har khata par naraz na hona,
Apni pyari si muskan kabhi na khona,
Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko,
Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona

----------------------------------

Ankh Khule To Cehra Tumhara Ho,
Ankh Band Ho To Sapna Tumhara Ho.
Mujhe Marne Ka Gam Na Hoga,
Gar Kafan Ki Jagah Dupatta Tumhara Ho.

--------------------------------------
Zindagi To Bewafa Hai,Ek Din Thukrayegi
Maut Hi Ek Sacchi Mehbooba Hai, Ek Din Zaroor Aayegi

--------------------------------


Aye woh meri Qabr par roye benaqaab beparda ho gaye mujhe parde mai dekh kar

----------------------------------------

KitnA Pyaar Karte hain tumse
Kaash TumkO bhi yeH ehsaaS ho JayE
Magar AisA na Ho Ke
Woh hosH mein tab Aaaye
Jab HuM gehri neenD mein so JaayE"

----------------------------
Laut jaati hai duniya gam hamara dekhkar.
Jaise laut jaati hain leherein kinara dekhkar.
Tu kandha na dena mere janaze ko.....
kahi fir zinda na ho jao tera sahara dekhkar

-----------------------

' Mohabbat or mout dono hi
bin bulaye mehmaan hote hai,
kab aa jaye koi nahi jaanta.
lekin dono ka ek hi kaam hai
ek Dil le jati hai to doosri Dhadkan''

-----------------------------
Apnay Hi Doston kay Liye Bojh Bangaya Hoon Main
Kanday Badal Rahay Hain Channd Qadmon K Baad
---------------------------------------


Teri Baraat Hogi Mera Janaza Hoga
4 Admi Tere Sath Honge 4 Admi Mere Sath Honge

Phool Tujh Per Bhi Honge Phool Mujh Per Bhi Honge
Tujh Per Dulhan Ka Jora Hoga Mujh Per Kafan Ki Sajawat Hogi

Lali Tere Chahre Per Hogi Noor Mere Chahre Per Hoga
Khubsoorat Tum Bhi Lag Rahi Hogi Khubsoorat Main Bhi Lag Raha Honga

" FERK SIRF ITNA HOGA "

Tum Kisi Ki Zindagi Main Ja Rahi Hogi
Main Tumhari Zindagi Se Ja Raha Honga

Mera Naseeb Teri Kismat Se Acha Hoga
Mera Gham Teri Khushi Se Acha Hoga

Yakeen Na Aae To Apni Ankhoon Se Dekhna
Mera Janaza Teri Baraat Se Acha Hoga

Mere Samne Rukhsat Jo Teri Baraat Hogi
Us Lamhe Gul-E-Shamay Hayaat Hogi

Wo Bhi Jan Kesi Aafat Ki Raat Hogi
Pehloo Main Kisi K Meri Qaienat Hogi

-------------------------------------------------

MAUT KI GODI MAI JAB SONA HOGA,
NA KOI TAKYA NA HI KOI BICHONA HOGA,
HUM HONGE BUS HAMARI TANHAYI HOGI ,
AUR KABRISTAN KA EK CHOTA SA KONA HAGA

------------------------------------------------
mera chaand chup gya hain
khin baadloin ke peeche,
roz intezaar karta hoon raat ka,
ki deed ho uska,
meri zindigi ki shaam dhalne se pehle,
agar aisa ho to le ke jana mera janazaa raat ko, shayad ab nikal aaye chaandab jis pal ka intezaar,shayad usne b kiya sadion bhar

----------------------------------------


Zindagi Ka Janazah

"Idhar Zindagi Ka Janzah Uthay Ga Udhar Zindagi un Ki Dulhan Bany gi
Jawani Pay Meri Sitam Dhanay Walon
Zara SochLo Kya kehe ga zamana
Idhar mere arman kafan pehn laingay
Udhar un kay Haton Pay Mehendi Rachy Gi

Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi

Abhi Un Kay Hasnay kay din hain wo haslain
Abhi mere ronay kay din hain main rolon
Magar Aik din un ko rona paray ga
Kay Jiss din bhi meri miyat UthayGi

Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi

Idhar Zindagi Ka Janzah Uthay Ga Udhar Zindagi un Ki Dulhan Bany gi
avatar
Gulzar
Super Moderators
Super Moderators

Male Number of posts : 728
Age : 40
Location : Pakistan
Registration date : 11.09.2008

Back to top Go down

Collection````only````on````janaza Empty Re: Collection````only````on````janaza

Post by tanbukhari Thu Oct 23, 2008 12:55 pm

Kia baat hai Gulzar Bhai.
Keep it up.
tanbukhari
tanbukhari
Co-Admin
Co-Admin

Male Number of posts : 834
Age : 35
Location : Lahore
Registration date : 09.09.2008

http://urdu-pak.co.cc

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum